Dasht-e-wigha Mein Nur-e-KHuda Ka Zuhur Hai
dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai
dasht-e-wigha mein nur-e-KHuda ka zuhur hai
zarron mein raushni-e-tajalli-e-tur hai
ek aaftab-e-ruKH ki ziya dur dur hai
koson zamin aks se dariya-e-nur hai
allah-re husn tabqa-e-ambar-sarisht ka
maidan-e-karbala hai namuna bahisht ka
hairan zamin ke nur se hai charKH-e-lajward
manind-e-kahruba hai ruKH-e-aftab-e-zard
hai ru-kash-e-faza-e-iram wadi-e-nabard
uThta hai KHak se tataq-e-nur ja-e-gard
hairat se hamilan-e-falak un ko takte hain
zarre nahin zamin pe sitare chamakte hain
hai aab-e-nahr surat-e-aina jalwa-gar
taban hai misl-e-chashma-e-KHurshid har bhanwar
lahren bisan-e-barq chamakti hain sar-ba-sar
pani pe machhliyon ki Thaharti nahin nazar
ye aab-o-tab hai ki guhar aab aab hain
dariya to aasman hain sitare hubab hain
partaw-fagan hua jo ruKH-e-qibla-e-anam
mashhur ho gai wo zamin arsh-ehtisham
aur sang-reze durr-e-najaf ban gae tamam
sahra ko mil gaya sharaf-e-wadi-assalam
kabe se aur najaf se bhi izzat siwa hui
KHak us zamin-e-pak ki KHak-e-shifa hui
phaila jo nur-e-mahr-e-imamat dam-e-zawal
zarron se wan ke aankh milana hua muhaal
sare nihaal faiz-e-qadam se hue nihaal
aKHtar bane jo phul to shaKHen banin hilal
patte tamam aaina-e-nur ho gae
sahra ke naKHl sab shajar-e-tur ho gae
ghul tha zahe husain ki shaukat zahe waqar
goya khaDe hain jang ko mahbub-e-kirdgar
ruKH se ayan hai dabdaba-e-shah-e-zul-fiqar
hai nur-e-haq jabin-e-munawwar se aashkar
kyunkar chhupe na mah-e-do-hafta hijab se
chauda tabaq mein nur hai us aaftab se
ye ru-e-raushan aur ye gesu-e-mushk-e-fam
yan sham mein to subh hai aur subh mein hai sham
haale mein yun nazar nahin aata hai mah tamam
qudarat KHuda ki nur ka zulmat mein hai maqam
zulfon mein jalwa-gar nahin chehra janab ka
hai nisf shab mein aaj zuhur aaftab ka
qurban kaman-e-abru-e-maula pe jaan o dil
gar mah-e-nau kahen to hai tashbih mubtazil
chashm-e-ghazal-e-dasht-e-KHutan chashm se KHajil
dekha jise karam se KHataen huin bahil
putli bisan-e-qibla-numa be-qarar hai
giryan hain wo ye gardish-e-lail o nahaar hai
ruKHsar hain ziya mein qamar se ziyaada-tar
jin par Thahar saki na kabhi shams ki nazar
rish-e-moKHazzab aur ye ruKH-e-shah-e-bahr o bar
paida hain saf mani-e-wal-lailo-o-wal-qamar
quran se ayan hai buzurgi imam ki
khai qasam KHuda ne isi subh o sham ki
kis munh se kijiye lab-e-jaan-baKHsh ka bayan
chusi jinhon ne ahmad muKHtar ki zaban
kya durr-e-ab-dar hain is durj mein nihan
goya ki motiyon ka KHazana hai ye dahan
zarre zamin pe aks se sare chamak gae
jis waqt ye khile to sitar chamak gae
sham-e-harim-e-lam-yazali tha gulu-e-shah
tarik shab mein jaise huwaida ho nur-e-mah
ai charKH-e-be-madar ye kaisa sitam hai aah
shamshir-e-shimr aur mohammad ki bosa-gah
jis par rasul honTon ko malte hon pyar se
kaT jae karbala main wo KHanjar ki dhaar se
manzur yan thi madh-e-gulu-e-shah-e-umam
yaad aa gai magar ye hadis-e-gham-o-alam
masjid mein jalwa-gar the rasul-e-falak-hasham
malte the zikr-e-haq mein lab-e-pak dam-ba-dam
raushan the baam-o-dar ruKH-e-raushan ke nur se
aaina ban gai thi zamin tan ke nur se
tha jo sutun ki rukn-e-risalat ka takiya-gah
kursi bhi us ki pusht ki thi DhunDhti panah
tha jis hasir par wo do aalam ka baadshah
hasrat se arsh karta tha us farsh par nigah
auj-e-zamin bahisht-e-barin se do-chand tha
mimbar ka nuh falak se bhi paya buland tha
ashab-e-KHas gird the anjum ki tarah sab
taban tha bich mein wo mah-e-hashmi-laqab
sar par malak-sifat magas-raan the do arab
jibril tah kiye hue the zanu-e-adab
KHadim bilal-o-qumbar-e-gardun-asas tha
nalain is ke pas asa us ke pas tha
gesu the wo mufassir-e-wallail-iza-saja
ruKH se ayan the mani-e-washshams-o-wa-zzuha
wo rish-e-pak aur ruKH-e-sardar-e-ambiya
goya dhara tha rehl pe quran khula hua
oDhe siyah aba jo wo aalam-panah tha
kaba ka saf hajiyon ko ishtibah tha
pahlu mein baadshah ke tha jalwa-gar wazir
sardar-e-din ali-e-wali KHalq ka amir
donon jahan mein koi na donon ka tha nazir
ahmad the aaftab to haidar mah-e-munir
zahir mein ek nur ka do ja zuhur tha
gar ghaur kijiye to wahi ek nur tha
masruf-e-waz-o-pand the sultan-e-mashriqain
jo ghar se nikle khelte zohra ke nur ain
nana baghair donon nawason ko tha na chain
baDh jate the hasan kabhi aage kabhi husain
kahte the dekhen kaun qadam jald uThata hai
nana ke pas kaun bhala pahle jata hai
wo gore gore chehron pe zulfen idhar udhar
aKHtar se wo chamakte hue kan ke guhar
rashk-e-hilal tauq gale ghairat-e-qamar
haikal pe naqsh nam KHuda-e-jalil ke
tawiz gardanon pe par-e-jibril ke
masjid mein aae hanste hue jab wo gul-badan
KHushbu se sehan-e-masjid-e-jame bana chaman
taslim ko husain se pahle jhuke hasan
KHush ho ke muskurane lage sarwar-e-zaman
baDh baDh ke KHam salam ko chhoTe baDe hue
baiThe rahe rasul malak uTh khaDe hue
beTon ko tha ali ka ishaara ki baiTh jao
lazim nahin ki waz mein nana ko tum satao
phaila ke hath bole mohammad ki aao aao
shabbir ne kaha hamein pahle gale lagao
bhai hasan jo aap ki godi mein aaen ge
hum tum se nana jaan abhi ruTh jaen ge
bole hasan ki wah hamein aur karen na pyar
iqrar ke chuke hain shahanshah-e-nam-dar
bole ba-chashm-e-nam ye husain-e-falak-waqar
dekhen to kaun kandhe pe hota hai ab sawar
sab se siwa jo hain so hamin un ke pyare hain
aage na baDhiye aap ki nana hamare hain
bhai se tab kaha ye hasan ne ba-iltifat
be-wajh hum se ruThe ho tum ai niko-sifat
nana hamare kya nahin sultan-e-kaenat
hoti hai nagawar tumhein to zara si baat
ghussa na itna chahiye KHush-KHu ke waste
machle the yun hi bachcha-e-ahu ke waste
ye sun ke munh ali ka lage dekhne rasul
hans kar kaha ye donon hain mere chaman ke phul
main chahta hun ek ki KHatir na ho malul
roenge ye to ghar se nikal aaegi butul
howe na ranj mere kisi nur-e-ain ko
tum lo hasan ko god mein main lun husain ko
shabbar se phir ishaara kiya ho ke be-qarar
ghussa na khao pahle tumhin ko karenge pyar
phir bole dekh kar su-e-shabbir-e-nam-dar
aa ai husain aa teri baaton ke main nisar
chhati se hum lagaenge jaan apni jaan kar
dekhen to pahle kaun lipaTta hai aan kar
dauDe ye baat sun ke barabar wo KHush-sayar
pas aae aaftab-e-risalat ke do qamar
lipTe husain hans ke idhar aur hasan udhar
the panw zanuon pe to baala-e-dosh sar
nana ke sath pyar mein donon ka sath tha
gardan mein ek un ka aur un ka hath tha
phir phir ke dekhte the shahanshah-e-mashriqain
gah jaanib-e-hasan to kabhi jaanib-e-husain
baiThe jo zanuon pe wo zehra ke nur-e-ain
tha tan ko lutf qalb ko rahat jigar ko chain
jhuk jhuk ke munh rasul-e-zaman chumne lage
in ka gala to un ka dahan chumne lage
shabbir chahte the ki chumen mere bhi lab
par kuchh gale ke boson ka khulta na tha sabab
nana ke munh ke pas ye late the munh ko jab
jhuk jhuk ke chumte the gala sayyad-e-arab
bhai ko dekh kar jo hasan muskuraate the
ghairat se un ki aankhon mein aansu bhar aate the
uTThe husain zanu-e-ahmad se KHashm-gin
ghusse se rang zard aur aankhon pe aastin
ruKH par pasina jism mein rasha jabin pa chin
puchha kidhar chale to ye bole kahin nahin
ghar mein akele tewari chaDhae chale gae
dekha na phir ke sar ko jhukae chale gae
baitushsharf mein aae jo shabbir-e-nam-dar
kurte ko munh pe rakh ke lage rone zar-zar
dauDin ye kah ke faima-zehra jigar-figar
hai hai husain kya hua tu kyun hai ashk-bar
tujh ko rula ke gham mein mujhe mubtala kiya
qurban ho gai tujhe kis ne KHafa kiya
mera kaleja phahTta hai ai dilruba na ro
zehra hazar jaan se tujh pe fida na ro
sar mein na dard ho kahin ai mah-laqa na ro
bas bas na ro husain bara-e-KHuda na ro
meri taraf to dekho ki betab hoti hun
chadar se munh ko Dhanp ke lo main bhi roti hun
tu munh to khol ai mere shabbir-e-KHush-KHisal
tar ho gae hain aansuon se gore gore gal
mal mal ke pusht-e-dast se aankh karo na lal
suljhaun aao uljhe hue gesuon ke baal
ghar se gae the sath juda ho ke aae ho
samjhi main kuchh hasan se KHafa ho ke aae ho
tum chup raho wo ghar mein to masjid se phir ke aaen
guzri main khel se mere bachche ko kyun rulaen
un se na boliyo wo tumhein lakh gar manaen
lo aao jaane do tumhein chhati se hum lagaen
wari agar hasan ne rulaya bura kiya
puchhungi kya na main mere pyare ne kya kiya
bole husain hum to hain is baat par KHafa
nana ne chume bhai ke honT aur mera gala
tum amman-jaan munh ko to sungho mere zara
kuchh bu-e-nagawar hai mere dahan mein kya
bhai ke lab se apne labon ko milate hain
ab hum na jaen ge hamein nana rulate hain
munh rakh ke munh pe boli ye zehra jigar-figar
bu-e-gulab aati hai ai mere gul-azar
chuma agar gala to KHafa ho na main nisar
tum ko zaban chusate the mahbub-e-kirdgar
ye mushk mein mahak na gul-e-yasman mein hai
KHush-bu usi dahan ki tumhaare dahan mein hai
kahne lage husain ye man se ba-chashm-e-nam
kya jaano tum hasan se hamein chahte hain kam
ye kya unhin pe lutf-o-inayat hai dam-ba-dam
malum ho gaya unhen pyare nahin hain hum
ro ro ke aaj jaan hum apni ganwaenge
pani na ab piyenge na khane ko khaenge
ye baat sun ke ho gaya zehra ka rang faq
boli pisar se ro ke wo bint-e-rasul-e-haq
sadqe gai karo na kaleje ko mere shaq
hai hai ye kya kaha mujhe hota hai ab qalaq
mera lahu bahega jo aansu bahaoge
kahe ko man jiyegi jo khana na khaoge
ye kah ke oDh li sar-e-pur-nur par rida
moze pahan ke god mein shabbir ko liya
dar tak gai jo ghar se wo dil-band-e-mustafa
fizza ne baDh ke buzar o salman ko di sada
pesh-e-nabi husain ko godi mein lati hain
haT jao sab ki fatima masjid mein aati hain
allah-re aamad aamad-e-zehra ka bandobast
saton falak the auj-e-sharafat se jis ke past
ahmad ke gird-o-pesh se uTThe KHuda-parast
insan to kya malak ko na thi qudarat-e-nishast
aain to shad-shad rasul-e-zaman hue
ghar mein KHuda ke ek jagah panj-tan hue
tazim-e-fatima ko uThe sayyad-ul-bashar
dekha ki chashm-e-fatima hai aansuon se tar
gham the husain dosh pe man ke jhukae sar
tha ek hilal mahr ke pahlu mein jalwa-gar
man kahti thi na rowo magar chup na hote the
aankhen thin band hichkiyan le le ke rote the
ghabra ke puchhne lage mahbub-e-zul-jalal
rota hai kyun husain ye kya hai tumhaara haal
bolin butul aaj qalaq hai mujhe kamal
roya hai ye husain ki aankhen hain donon lal
aate hain hanste rote hue ghar mein jate hain
shafqat bhi aap hi karte hain aap hi rulate hain
hathon ko joDti hun main ya shah-e-bahr-o-bar
shafqat ki us ke haal pe har-dam rahe nazar
rone se us ke hota hai TukDe mera jigar
mujh faqa-kash gharib ka pyara hai ye pisar
haidar se puchhiye mere usrat ke haal ko
kis kis dukhon se pala hai is naunihaal ko
ashk us ke jitne Tapke hain ya shah-e-nek-KHu
utna hi ghaT gaya hai mere jism ka lahu
roe hain phuT phuT ke ye mere ru-ba-ru
tar ho gaya hai aansuon se chand sa gulu
dekha na tha ye main ne jo haal is ka aaj hai
hazrat to jaante hain ki nazuk mizaj hai
shafqat se aaj aap ne chume hasan ke lab
bosa liya na un ke labon ka ye kya sabab
rutbe mein donon ek hain ya surwar-e-arab
main sach kahun ye sun ke mujhe bhi hua ojab
is ko jo ho KHushi to dil is ka bhi shad ho
chhoTe se chahiye ki mohabbat ziyaad ho
aap un ke naz uThate hain ya shah-e-bahr-o-bar
phir kis se ruThen aap se ruThen na ye agar
aksar inhen chaDhaya hai hazrat ne dosh par
gesu diye hain nanhe se hathon mein besh-tar
ruThe the ye so qadmon pe sar dharne aae hain
munh ke na chumne ka gila karne aae hain
ye kah ke phir husain se bolin ba-chashm-tar
lo ja ke ab nabi ke qadam par jhukao sar
aae husain hath jo nanhe se joD kar
be-iKHtiyar rone lage sayyad-ul-bashar
rah rah ke dekhte the ali o butul ko
nazdik tha qalaq se ghash aae rasul ko
thi aansuon se rish-e-mubarak tamam nam
fart-e-buka se KHak pa jhukte the dam-ba-dam
gahe sutun se lag ke hue rast gah KHam
har lahza iztirab ziyaada tha sabr kam
ho sakta tha na zabt shah-e-mashriqain se
rote the bar bar lipaT kar husain se
shabbir ro ke kahte the nana na roiye
roenge ab na hum shah-e-wala na roiye
hilne lagega arsh-e-mualla na roiye
phaTta hai ab hamara kaleja na roiye
sau bar din mein hum to munh ashkon se dhote hain
hazrat hamare rone pe kahe ko rote hain
ghabra gae ali-e-wali shah-e-bahr-o-bar
ki arz fatima ne jhuka ke qadam pe sar
beTi nisar ho gai ya sayyad-ul-bashar
kya wajh hai jo aap hain is tarah nauha gar
jaldi bataiye ki mujhe tab ab nahin
rona KHuda ke dost ka ye be-sabab nahin
hazrat ko ilm-e-ghaib hai ya shah-e-ins-o-jaan
aainda o guzishta ka sab haal hai ayan
kya aai aaj wahi-e-KHudawand-e-do-jahan
hona hai jo husain pe mujh se karo bayan
faqon se kaTti hun musibat jahan ki
kyun baba-jaan KHair to hai is ki jaan ki
bole jigar ko tham ke mahbub-e-zul-jalal
tujh se suna na jaega ai fatima ye haal
kis munh se main kahun ki qalaq hai mujhe kamal
zehra shahid hue howenge tere ye donon lal
matam ki ye KHabar abhi jibril lae the
sare malak husain ke purse ko aae the
almas pi ke huega be-jaan tera hasan
ye wajh hai ki chumta hun us ka main dahan
bhar jaega kalejon ke TukDon se sab lagan
hoga zamurradi tere is lal ka badan
su-e-bahisht jab ye jahan se sidhaarenge
bad-kesh tir is ke janaze pa marenge
zehra mujhe kalam ki taqat nahin hai ab
halq-e-husain chumne ka kya kahun sabab
ek ban mein tin roz rahenge ye tishna-lab
kaT jaega gala yahi KHanjar se hai ghazab
neze pe sar chaDhega tere nur-e-ain ka
ghoDon se raund Dalenge lasha husain ka
roe KHabar ye kah ke jo mahbub-e-zul-minan
ghabra ke munh husain ka takne lage hasan
zehra pukari hae luTega mera chaman
main mar gai duhai hai ya sarwar-e-zaman
ye kaisi aag hai ki meri kokh jal gai
hai hai chhuri kaleje pe zehra ke chal gai
fariyaad ya-nabi shah-e-abrar al-ghiyas
ai mursilan-e-haq ke madad-gar al-ghiyas
ai be-kason ke waris o sardar ul-ghiyas
qudarat hai sab tarah ki shah-e-mashriqain ko
hazrat se lungi apne hasan aur husain ko
kis jurm par ye lal mere qatl honge aah
ro kar kaha rasul-e-KHuda ne ki be-gunah
ki arz fatima ne ki ai arsh-e-bar-gah
bachchon ko mere kya na milegi kahin panah
talwaren khench khench ke zalim jo aaenge
hazrat na kya nawason ko apne bachaenge
aasan hai kya jo qatl karenge sitam-shiar
kya sher-e-haq kamar se na khinchenge zul-fiqar
aada pe kya chalega na dast-e-KHuda ka war
baalon ko kya na kholegi zehra jigar figar
TukDe jigar jo huega mujh dil do-nim ka
paya na kya hilaungi arsh-e-azim ka
zehra se ro ke kahne lage shah-e-nek-KHu
beTi mujhe sataenge turbat mein kina-ju
is waqt qatl howenge ye donon mah-ru
duniya mein jab na hoga ali aur na main na tu
lashe pe mujtaba ke tu shabbir roega
shabbir jab marega to koi na huega
chillai sar paTak ke ye zehra ki hai sitam
piTega kaun tan se jo niklega us ka dam
matam ki saf bichhaega kaun ai shah-e-umama
purse ko kaun aaega us ke ba-chashm-e-nam
hum mein se aise waqt jo koi na huega
hai hai mere husain ko phir kaun roega
bachche ki mere taziya-dari karega kaun
munh Dhanp Dhanp girya-o-zari karega kaun
dariya-e-ashk chashm se jari karega kaun
imdad baad-e-marg hamari karega kaun
hoga kahan nabi ke nawase ka fatiha
sharbat pe kaun dewega pyase ka fatiha
bole nabi ki aap ko zehra na kar halak
farma chuka hai mujh se ye wada KHuda-e-pak
paida karenge qaum ek aisi ba-ru-e-KHak
jo raat din rahenge isi gham mein dard-nak
bazm-e-aza mein aaenge wo dur dur se
tan KHak se banaenge dil un ke nur se
hogi unhin se majlis-e-matam ki zeb-o-zain
denge unhen wo lab ki rahe jis pe wa husain
aankhen wo denge rone ko samjhen jo farz-e-ain
hath aise ghair sina-zani ho jinhen na chain
saman taziyat ke kabhi kam na howenge
wo hashr tak husain ke matam mein roenge
hoga ayan falak pe moharram ka jab hilal
raKHt-e-siyah pahnenge bar mein wo KHush-KHisal
kholengi bibayan bhi sab apne saron ke baal
har ghar mein hoga shor ki hai hai ali ka lal
lenge sile mein KHuld tere nur-e-ain se
aansu aziz wo na karenge husain se
pyasa shahid hoga jo tera ye dil-ruba
momin sabilen rakkhenge pani ki ja-ba-ja
howegi shad ruh shahidan-e-karbala
bhar bhar ke aab-e-sard pukarenge barmala
mahbub-e-kibriya ke nawase ki nazr hai
pyase na jaiyo ki ye pyase ki nazr hai
kahne lagi nabi se butul-e-falak-janab
hai hai main kya karun mere dil ko nahin hai tab
ai baadshah-e-kaun-o-makan malikur-riqab
dargah-e-haq mein aap ki hai arz mustajab
kije dua ki KHaliq-e-akbar madad kare
allah ye bala mere bachche ki rad kare
beTi se ro ke kahne lage shah-e-kaenat
ruh-ul-amin ne mujh se to ye bhi kahi hai baat
chaho to rad kare ye bala rabb-e-pak-zat
lekin na huegi mere ummat ki phir najat
mahbub-e-haq nisar tere nur-e-ain par
mauquf hai ye amar to qatl-e-husain par
allah-re sabr-e-mahbub-e-kirdgar
ummat ka nam sun ke jhukaya sar ek bar
KHush-nud ho ke kahne lage shah-e-zul-fiqar
sadqe hasan husain tasadduq ali nisar
is rah mein na mal na daulat aziz hai
pyare pisar nahin hamein ummat aziz hai
kahne lage husain se phir shah-e-bahr-o-bar
batla mujhe ki kya teri marzi hai ai pisar
nana se bole chhoTe se hathon ko joD kar
ummat ke kaam aae to hazir abhi hai sar
wada ko hum na bhulenge go KHurd-sal hain
chhoTe nahin hain muKHbir-e-sadiq ke lal hain
rote hain aap kis liye ya sayyad-e-umam
raazi hain hum pe rah-e-KHuda mein hon jo sitam
talwaren bhi chalen to nahin marne ke dam
ummat pe apne sar ko tasadduq karenge hum
hum rast-go hain baat pe jis waqt aate hain
kahte hain jo zaban se wahi kar dikhate hain
bachpan mein jo zaban se kaha tha kiya wo kaam
jis waqt ran mein TuT paDe shah pe fauj-e-sham
gardan jhuka ke barchhiyan khaya kiye imam
KHun mein qaba rasul ki tar ho gai tamam
teghen ali ke lal ke shane pe chal gain
chhati ke par nezon ki noken nikal gain
pheri na thi jo pusht-e-mubarak dam-e-masaf
the do hazar zaKHm faqat sar se ta-ba-naf
sayyad se be-watan se zamana tha bar-KHilaf
ghul tha ki aaj hota hai ghar fatima ka saf
sambhla na jaega KHalaf-e-bu-turab se
lo wo qadam husain ke nikle rikab se
meinh ki tarah barasne lage shah-e-din pe tir
tharra rahe the lag ke tan-e-naznin pe tir
daman pe tir jaib pe tir aastin pe tir
pahlu pe tegh sina pe neza jabin pe tir
daghon se KHun ke raKHt-e-badan lala-zar tha
shakl-e-zarih sina-e-aqdas figar tha
tar thi lahu mein zulf-e-shikan-dar-shikan juda
majruh lal-e-lab the juda aur dahan juda
darpai the neza-dar juda teghzan juda
kaT kaT ke ho gaya tha har ek uzw-e-tan juda
si-para tha na sadr faqat us janab ka
purze waraq-waraq tha KHuda ki kitab ka
karta tha war barchhiyon walon ka jab para
teghon se dam bhi lene ki mohlat na thi zara
nezon mein KHun nabi ke nawase ka tha bhara
shamshir-o-tir neza-o-KHanjar ke mawara
thin saKHtiyan sitam ki shah-e-KHush-KHisal par
chalte the sang faima-zehra ke lal par
the do hazar jism-e-shah-e-bahr-o-bar pe zaKHm
mathe pe zaKHm tir ke teghon ke sar pe zaKHm
gardan pe zaKHm sine pe zaKHm aur kamar pe zaKHm
aur is ke mawara the bahattar jigar pe zaKHm
ghoDe pe gah sambhalte the gah Dagmagate the
ghash aata tha to hirne pe sar ko jhukate the
ghoDe pe jab sambhalne ki mutlaq rahi na tab
hathon se bag chhuT gai aur panw se rikab
girne laga jo KHak pe wo aasman-janab
marqad mein be-qarar hui ruh-e-bu-turab
ghul tha ki KHak par shah-e-kaun-o-makan gira
bas ab zamin ulaT gai aur aasman gira
jalti hui zamin pe taDapne lage imam
be-kas pe zalimon ne kiya aur izhdiham
us waqt shimr se ye umar ne kiya kalam
han tan se jald kaT sar-e-sarwar-e-anam
dariyo na sun ke faima-zehra ki aah ko
gul kar de sham-e-qabr-e-risalat-panah ko
ye sunte hi chaDhai sitam-gar ne aastin
KHanjar kamar se khinch ke aage baDha lin
the qibla-ru jhuke hue sajde mein shah-e-din
lab hilte dekhe shah ke aaya wo jab qarin
samjha ki tishnagi se jo sadme guzarte hain
us waqt bad-dua mujhe shabbir karte hain
jhuk kar qarib kan jo laya to ye suna
haq mein gunahgaron ke karte hain shah dua
jari zaban-e-KHushk pe ye hai ki ai KHuda
kar hajaton ko mere muhibbon ki to rawa
shion ka hashr roz-e-jaza mere sath ho
mera ye KHun-baha hai ki un ki najat ho
ye sun ke mustaid hua wo shah ke qatl par
zanu rakha husain ke sine pa be-KHatar
gardan pe pherne laga KHanjar jo bad-guhar
aai sada ali ki ki hai hai mere pisar
zehra pukari kuchh bhi nabi se hijab hai
zalim ye bosa-gah-e-risalat-maab hai
kyun zabh mere lal ko karta hai be-gunah
kyun kaTta hai mere kaleje ko ru-siyah
kashti ko ahl-e-bait-e-nabi ki na kar tabah
main fatima hun arsh hilaegi meri aah
huega hashr qatl jo ye be-watan hua
ye mar gaya to KHatma-e-panj-tan hua
aawaz apni man ki ye zainab ne jab suni
dauDi nikal ke KHeme se sar piTti hui
dekha ki zabh karta hai hazrat ko wo shaqi
sar piT kar ye kahne lagi wo jigar-jali
hai hai na tin roz ke pyase ko zabh kar
zalim na mustafa ke nawase ko zabh kar
bano pukarti thi ye kya karta hai lain
pyasa hai tin roz se haidar ka ja-nashin
chillati thi sakina ki jine ki main nahin
baba ko zabh karta hai kyun ai udu-e-din
KHanjar na pher chand si gardan pe rahm kar
abba ko chhoD de mere bachpan pe rahm kar
zaKHmon se chur chur hai zehra ka yaadgar
jis chhati par mein soti thi us par hai to sawar
baba ke halq par na phira ab chhuri ki dhaar
badle pidar ke sar ko mare tan se tu utar
sayyad pe tishna-lab pe sitam is qadar na kar
poti hun fatima ki mujhe be-pidar na kar
ro kar bayan ye karti thi wo soKHta-jigar
de kar duhai ahl-e-haram piTte the sar
karta tha zabh shah ko wahan shimr-e-bad guhar
farmate the ye shah ki pyasa hun rahm kar
pani diya na hae nabi ke nawase ko
jallad zabh karne laga bhuke pyase ko
aaKHir sar-e-imam-e-umam tan se kaT gaya
chilla ke fatima ne ye zainab ko di sada
maidan se jald le ke sakina ko ghar mein ja
be-jurm kaT gaya tere man jae ka gala
mara ba-zulm shimr ne pyase ko jaan se
main laT gai husain sidhaare jahan se
bas ai 'anis' bazm mein hai nala-o-fughan
puchh un ke dil se jo hain suKHan-fahm nukta-dan
haq hai suna nahin kabhi us husn ka bayan
goya ki ye KHaliq ki hai sar-ba-sar zaban
sach hai ki is zaban ko koi jaanta nahin
jo jaanta hai aur ko wo manta nahin
(8991) Peoples Rate This