Koi Anis Koi Aashna Nahin Rakhte
koi 'anis' koi aashna nahin rakhte
kisi ki aas baghair az KHuda nahin rakhte
kisi ko kya ho dilon ki shikastagi ki KHabar
ki TuTne mein ye shishe sada nahin rakhte
faqir dost jo ho hum ko sarfaraaz kare
kuchh aur farsh ba-juz boriya nahin rakhte
musafiro shab-e-awwal bahut hai tera o tar
charagh-e-qabr abhi se jala nahin rakhte
wo log kaun se hain ai KHuda-e-kaun-o-makan
suKHan se kan ko jo aashna nahin rakhte
musafiran-e-adam ka pata mile kyunkar
wo yun gae ki kahin naqsh-e-pa nahin rakhte
tap-e-darun gham-e-furqat waram-e-payaada-rawi
maraz to itne hain aur kuchh dawa nahin rakhte
khulega haal unhen jab ki aankh band hui
jo log ulfat-e-mushkil-kusha nahin rakhte
jahan ki lazzat o KHwahish se hai bashar ka KHamir
wo kaun hain ki jo hirs-o-hawa nahin rakhte
'anis' bech ke jaan apni hind se niklo
jo tosha-e-safar-e-karbala nahin rakhte
(677) Peoples Rate This