Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_66399e040fbf309f4b2a94db6c4b90d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun - Meer Ali Ausat Rashk Poetry In English - Darsaal

Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun

is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun

zikr jine ka jo aata hai to mar jata hun

maut ne kitne bakheDon se chhuDaya mujh ko

na taDapta hun na rota hun na chillata hun

kaam mujh se nahin hota koi juz jurm-o-gunah

mehnat-e-katib-e-amal se sharmata hun

ek KHat yar ko likhta hun jo betabi mein

dusra katib-e-amal se likhwata hun

ek hamdard nahin aalam-e-tanhai mein

mujh ko samjhata hai dil dil ko main samjhata hun

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun In English By Famous Poet Meer Ali Ausat Rashk. Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun is written by Meer Ali Ausat Rashk. Read famous Poem Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun for youth and Student by Meer Ali Ausat Rashk. Free Download Is Qadar Hasti-e-mauhum Se Sharmata Hun in PDF.