Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c2c540f365211c8d7f4dee3ae4cab35, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai - Meer Ahmad Naved Poetry In English - Darsaal

Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai

ye umr-e-sad-bala jo apne hi sar gai hai

thoDi guzar lenge thoDa guzar gai hai

ya mund lin hain aankhen ya mund gain hain aankhen

tujh par pas-e-tamasha kya kya guzar gai hai

mumkin nahin hai shayad donon ka sath rahna

teri KHabar jab aai apni KHabar gai hai

shor-e-KHizan hai ghar mein diwar-o-baam-o-dar mein

dar par sawari kal aa kar Thahar gai hai

malum hi nahin hai kuchh farq hi nahin hai

ye din guzar gaya hai ya shab guzar gai hai

har gul-badan ko takna aankhon se chum rakhna

diwangi hamari had se guzar gai hai

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai In English By Famous Poet Meer Ahmad Naved. Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai is written by Meer Ahmad Naved. Read famous Poem Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai for youth and Student by Meer Ahmad Naved. Free Download Ye Umr-e-sad-bala Jo Apne Hi Sar Gai Hai in PDF.