Wo Hai Apna Ye Jatana Bhi Nahin Chahte Hum
wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum
dil ko ab aur dukhana bhi nahin chahte hum
aarzu hai ki wo har baat ko KHud hi samjhe
dil mein kya kya hai dikhana bhi nahin chahte hum
ek parde ne bana rakkha hai donon ka bharam
aur wo parda haTana bhi nahin chahte hum
tohmaten hum pe lagi rahti hain lekin phir bhi
aasman sar pe girana bhi nahin chahte hum
KHud-numai hamein manzur nahin hai hargiz
aise qad apna baDhana bhi nahin chahte hum
das se milna hai use ek hain un mein hum bhi
is tarah us ko bulana bhi nahin chahte hum
hum se milne ki taDap jab nahin us ko 'mina'
hath phir us se milana bhi nahin chahte hum
(498) Peoples Rate This