Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_327b1c7b24ad5cec4797bcd39636dca0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa - Meena Naqvi Poetry In English - Darsaal

Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa

us ke aane ki KHabar chupke se lati hai hawa

raat mein subh ki manind jagati hai hawa

naghmagi saz mein sanson ke utar jati hai

dil ke sahraon mein jab jhumti-gati hai hawa

abr kuchh der baras ke jo chala jata hai

der tak peD ki shaKHon ko rulati hai hawa

jab se ek phul se chehre ne nazar pheri hai

aisa lagta hai ki is shahar se jati hai hawa

ret par yun hain bagulon ki qataren 'mina'

aaj bhi naqsh-e-qadam us ke miTati hai hawa

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa In English By Famous Poet Meena Naqvi. Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Uske Aane Ki KHabar Chupke Se Lati Hai Hawa in PDF.