Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_89e74e0f1d54673efc427eb8bc50b3c8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai - Meena Naqvi Poetry In English - Darsaal

Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai

tez jab gardish-e-haalat hua karti hai

raushni din ki siyah raat hua karti hai

ranj aur gham ki jo barsat hua karti hai

daulat-e-ishq ki KHairaat hua karti hai

jab KHayalon mein dabe panw wo aa jata hai

wo mulaqat mulaqat hua karti hai

us ki KHamoshi bhi tufan ka pata deti hai

us ki har baat mein ek baat hua karti hai

jis pe rishton ke nibhane ki ho zimmedari

us ke hisse mein faqat mat hua karti hai

ye bhi hota hai mohabbat mein suKHan ka andaz

lab nahin khulte magar baat hua karti hai

jalta rahta hai charaghon mein rifaqat ka lahu

hijr ki raat bhi kya raat hua karti hai

din ki bechainiyan raaton ki taDap be-KHwabi

us ki chahat ki ye saughat hua karti hai

(462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai In English By Famous Poet Meena Naqvi. Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Tez Jab Gardish-e-haalat Hua Karti Hai in PDF.