Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd5e0e89a861675f26e9fb8167f56c68, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Use Dekha Zara Nazdik Se - Meena Naqvi Poetry In English - Darsaal

Jab Use Dekha Zara Nazdik Se

jab use dekha zara nazdik se

tab samajh pae hain thoDa Thik se

baat jab hai dil ho KHud hi be-qarar

wo mohabbat kya mile jo bhik se

bhul baiThe qadr-dani ka chalan

log ham-rishta hain ab tazhik se

raushni ka jashn sa hai har taraf

phir bhi chehre hain kai tarik se

ye jali lafzon mein likha tha kahin

inqalab aata hai ek tahrik se

apna bhi andaz hai 'mina' alag

chal rahe hain haT ke thoDa leak se

(444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Use Dekha Zara Nazdik Se In English By Famous Poet Meena Naqvi. Jab Use Dekha Zara Nazdik Se is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Jab Use Dekha Zara Nazdik Se for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Jab Use Dekha Zara Nazdik Se in PDF.