Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_02b0f0315ab6bc04ee79fa8f854ffb80, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain - Meena Naqvi Poetry In English - Darsaal

Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain

jab chandniyan ghar ki dahliz pe chalti hain

aaseb-zada ruhen saDkon pe Tahalti hain

dar-asl wo ninden hain aaghosh mein ashkon ki

palkon ki munDeron se har shab jo phisalti hain

masum umiden hain haalat ki gardish mein

ghar mein kisi muflis ke shahzadiyan palti hain

ai kash ki raushan hon fanus umidon ke

aankhon ke kaToron mein kuchh shamen pighalti hain

KHud se hi na ho jaun anjaan kisi din main

har roz tamannaen poshak badalti hain

masla gaya jis din se kaliyon ko yahan 'mina'

kuchh KHushbuen sahra se har raat nikalti hain

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain In English By Famous Poet Meena Naqvi. Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Jab Chandniyan Ghar Ki Dahliz Pe Chalti Hain in PDF.