Bulandiyon Ka Tha Jo Musafir Wo Pastiyon Se Guzar Raha Hai

bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai

tamam din ka sulagta suraj samundaron mein utar raha hai

tumhaari yaadon ke phul aise sahar ko aawaz de rahe hain

ki jaise ThanDi hawa ka jhonka meri gali se guzar raha hai

alag hain nazren alag nazare ajab hain raaz-o-niyaz sare

kisi ke jazbe chamak rahe hain kisi ka ehsas mar raha hai

ajib josh-e-junun hai us ka ajib tarz-e-wafa hai mera

main lamha lamha simaT rahi hun wo reza reza bikhar raha hai

nazar mein rangin shamiyane mohabbaton ke nae fasane

ye kaun hai dil ke waswason mein jo mujh ko bechain kar raha hai

tamam alfaz miT chuke hain bas ek safha abhi hai baqi

use musalsal main paDh rahi hun jo naqsh dil par ubhar raha hai

wo mere ashkon ke aaine mein saja hai 'mina' kuchh is tarah se

ki jaise shabnam ke qatre qatre mein koi suraj sanwar raha hai

(441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bulandiyon Ka Tha Jo Musafir Wo Pastiyon Se Guzar Raha Hai In English By Famous Poet Meena Naqvi. Bulandiyon Ka Tha Jo Musafir Wo Pastiyon Se Guzar Raha Hai is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Bulandiyon Ka Tha Jo Musafir Wo Pastiyon Se Guzar Raha Hai for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Bulandiyon Ka Tha Jo Musafir Wo Pastiyon Se Guzar Raha Hai in PDF.