Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main
aankhon mein rang pyar ke bharne lagi hun main
aaina samne hai sanwarne lagi hun main
aankhon mein us ki pa ke ishaare wafaon ke
gahre samundaron mein utarne lagi hun main
manzil na qafila na musafir na rahbar
ye kaise raston se guzarne lagi hun main
ahbab ke fareb-e-musalsal ne ye kiya
parchhaiyon se apni hi Darne lagi hun main
aflak jab ana ke pighalte hue mile
par apni aarzu ke katarne lagi hun main
'mina' tasawwuraat mein parchhaiyan si hain
jaane ye zindagi hai ki marne lagi hun main
(447) Peoples Rate This