Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai
ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai
mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jati hai
nami si aankh mein aur honT bhi bhige hue se hain
ye bhiga-pan hi dekho muskurahaT hoti jati hai
tere qadmon ki aahaT ko ye dil hai DhunDta har dam
har ek aawaz par ek thartharahaT hoti jati hai
ye kaisi yas hai rone ki bhi aur muskurane ki
ye kaisa dard hai ki jhunjhunahaT hoti jati hai
kabhi to KHub-surat apni hi aankhon mein aise the
kisi gham-KHana se goya mohabbat hoti jati hai
KHud hi ko tez naKHunon se hae nochte hain ab
hamein allah KHud se kaisi ulfat hoti jati hai
(498) Peoples Rate This