Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d7ba6cbc42f309f3ce89f6289a3c8fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath - Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan Poetry In English - Darsaal

Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath

us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath

is waste laga hun chaman ki hawa ke hath

barg-e-hina upar likho ahwal-e-dil mera

shayad ki ja lage wo kisi mirza ke hath

aazad ho raha hun do aalam ki qaid se

mina laga hai jab se ki kuchh be-nawa ke hath

marta hun mirzai-e-gul dekh har sahar

suraj ke hath chunari to pankha saba ke hath

'mazhar' chhupa ke rakh dil-e-nazuk ko apne tu

ye shisha bechna hai kisi mirza ke hath

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath In English By Famous Poet Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath is written by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Read famous Poem Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath for youth and Student by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Free Download Us Gul Ko Bhejna Hai Mujhe KHat Saba Ke Hath in PDF.