Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a2552ba7a4a2525ce5795e4ef432879d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar - Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan Poetry In English - Darsaal

Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar

hum ne ki hai tauba aur dhumen machati hai bahaar

hae bas chalta nahin kya muft jati hai bahaar

lala-e-gul ne hamari KHak par Dala hai shor

kya qayamat hai muon ko bhi satati hai bahaar

shaKH-e-gul hilti nahin ye bulbulon ko bagh mein

hath apne ke ishaare se bulati hai bahaar

hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek

ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaar

nargis o gul ki khili jati hain kaliyan dekho sab

phir bhi unhi KHwabida fitnon ko jagati hai bahaar

(494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar In English By Famous Poet Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar is written by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Read famous Poem Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar for youth and Student by Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan. Free Download Humne Ki Hai Tauba Aur DhuMein Machati Hai Bahaar in PDF.