Chali Ab Gul Ke Hathon Se LuTa Kar Karwan Apna
chali ab gul ke hathon se luTa kar karwan apna
na chhoDa hae bulbul ne chaman mein kuchh nishan apna
ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna
alam se yan talak roin ki aaKHir ho gain ruswa
Dubaya hae aankhon ne mizha ka KHandan apna
raqiban ki na kuchh taqsir sabit hai na KHuban ki
mujhe nahaq satata hai ye ishq-e-bad-guman apna
mera ji jalta hai us bulbul-e-bekas ki ghurbat par
ki jin ne aasre par gul ke chhoDa aashiyan apna
jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna
koi aazurda karta hai sajan apne ko he zalim
ki daulat-KHwah apna 'mazhar' apna 'jaan-e-jaan' apna
(614) Peoples Rate This