UkhaDte KHemon Ka Dard
kahin bhi ja-e-aman nahin hai
na raushni mein na tirgi mein
na zindagi mein na KHud-kushi mein
aqide zaKHmon se chur paiham karahte hain
yaqin ki sans ukhaD chali hai
jamil KHwabon ke chehra-e-gham-zada se nasur ris raha hai
aziz qadron pe jaan-kani ki giraft mazbut ho gai hai
patang ki tarah kaT chuke hain tamam rishte
jo aadmi ko qarib karte the aadmi se
dilon mein qaus-e-quzah ki angDaiyan jin se TuTti thin
na fard hi ka makan salamat
na ijtimai wajud hi zer saeban hai
koi KHuda tha to wo kahan hai?
koi KHuda hai to wo kahan hai?
muhib tufan muhib-tar hai
pahaD tak ret ki tarah uD rahe hain
bas ek aawaz gunjti hai
mujhe bachao mujhe bachao
magar kahin bhi aman nahin hai
jo apni kashti pe bach rahega
wahi alaihissalam hoga
(455) Peoples Rate This