Aangan Mein Ek Sham
sham ki
lamha lamha
utarti hui
dhund mein
sar jhukae hue ghar ke
KHamosh aangan mein baiThe hue
meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se
ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin
sham ki
rasta rasta
utarti hui dhund mein
is bipharte samundar ki aawara lahron ko
chori chhupe
dafn karna paDa
us khanDar mein
jahan murda sadiyon ke bhaTke hue rah-rau
chiKHte phirte hain
apni hi khoj mein
KHauf ka sanp
rag rag mein KHun ki tarah sarsaraata raha
raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan
dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin
aur puchhe mohabbat se israr se
ye baiThe-biThae tumhein kya hua
kuchh mujhe bhi kaho
(395) Peoples Rate This