Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_91911c84a82469210f183138beb9b189, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main

ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main

ki KHud ko yaad rakhun us ko bhul jaun main

usi se puchh ke dekhun wo mera hai ki nahin

ab aur kitna fareb-e-jamal khaun main

wo be-libas sahi jama-zeb kitna hai

mah-e-KHayal ko poshak kya pahnaun main

wo pul kahan hai jo duniya se joDta tha mujhe

jo tu qarib ho sab se qarib aaun main

kabhi to ho mere ehsas-e-kam-tari mein kami

kabhi to ho ki use khul ke yaad aaun main

wo shaKHs hai ki nasim-e-sahar ka jhonka hai

bikhar hi jaun jo us ko gale lagaun main

azan ke baad dua ko jo hath uThae wo

'imam' apni namazen bhi bhul jaun main

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main In English By Famous Poet Mazhar Imam. Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Ye Tajraba Bhi Karun Ye Bhi Gham UThaun Main in PDF.