Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_edefc3aa1a9e3334e58d0dcfae9876fe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De

wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de

sukut wo ki dhamaka bhi ab sunai na de

pahunch gaya hun zaman o makan ke malbe tak

meri ana mujhe ilzam-e-na-rasai na de

agar kahin hai to dil chir kar dikha mujh ko

tu apni zat ka irfan de KHudai na de

azal ke TuTte rishton ki is kashakash mein

pukar aisi ada se mujhe sunai na de

nikal chuka hun main apni kaman se aage

talluqat-e-guzishta ki ab duhai na de

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De In English By Famous Poet Mazhar Imam. Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Wo Raushni Hai Ki Aankhon Ko Kuchh Sujhai Na De in PDF.