Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_065d67574a029d255103821421c859d6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi

tu hai gar mujh se KHafa KHud se KHafa hun main bhi

mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi

ek tujh se hi nahin fasl-e-tamanna shadab

wahi mausam hun wahi aab-o-hawa hun main bhi

mujh ko pana ho to har lamha talab kar na mujhe

raat ke pichhle pahar mang! dua hun main bhi

sabt hun dast-e-KHamoshi pe hina ki surat

na-shunida hi sahi tera kaha hun main bhi

jaane kis samt chalun kaun se ruKH muD jaun

mujh se mat mil ki zamane ki hawa hun main bhi

yun na murjha ki mujhe KHud pe bharosa na rahe

pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi In English By Famous Poet Mazhar Imam. Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Tu Hai Gar Mujhse KHafa KHud Se KHafa Hun Main Bhi in PDF.