Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua
tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua
bahut qarib se guzra salam karta hua
jhijak raha tha wo mujh se nazar milate hue
ki main bhi tha isi KHake mein rang bharta hua
main gharq hone hi wala tha jab to ek tinka
bhanwar se mujh ko dikhai diya ubharta hua
mila wo panch sitaron ki raqs-gahon mein
zamane bhar se pasheman KHud se Darta hua
masafaten hain bahut aur saKHt rahon se
guzar gaya hai wo mujh ko talash karta hua
raqam hua nahin ab tak nisab-e-ham-safri
wo qafila bhi mila jab to kuch karta hua
ajab tilism-e-safar hai ki sham-e-maqtal tak
pahunch gaya hun main har moD par Thaharta hua
kinara tha mere dariya se kaT gaya wo shaKHs
ki main tha waqt ki sarhad ko par karta hua
(359) Peoples Rate This