Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_05696ccb960938f7cae44b92d9d6e6ef, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga

saneha ye bhi ek roz kar jaunga

waqt ki palki se utar jaunga

apne TuTe hue KHwab ki kirchiyan

teri aasuda aankhon mein bhar jaunga

raushni ke safine bulate rahen

sahil-e-shab se ho kar guzar jaunga

ajnabi wadiyan koi manzil na ghar

raste mein kahin bhi utar jaunga

mere dushman ke dil mein jo barson se hai

wo KHala bhi main ek roz bhar jaunga

doston se mulaqat ki sham hai

ye saza kaT kar apne ghar jaunga

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga In English By Famous Poet Mazhar Imam. Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Saneha Ye Bhi Ek Roz Kar Jaunga in PDF.