Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se
phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se
guzre na kahin gardish-e-dauran bhi idhar se
puchhen to zara pech-o-KHam-e-rah ki baaten
kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se
shayad kahin suraj ki kiran sham ko phuTe
hum shama jalae hue baiThe hain sahar se
logo meri aashufta-sari par na karo tanz
ilzam utaro koi us zulf ke sar se
dekha na unhen dida-e-hairat ne dobara
jalwon ko shikayat hai meri tab-e-nazar se
KHushbu-e-gul-o-lala chhupa lete hain patte
ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se
tare to chamak apni dikhate hain sahar tak
dil Dubne lagta hai magar pichhle pahar se
ghairon ki nigahen tere jalwon se hain sairab
ai kash ye baadal meri aankhon pe bhi barse
zulmat hi ke sae mein sukun DhunDiye 'mazhar'
KHairaat bahut mang chuke nur-e-sahar se
(436) Peoples Rate This