Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai
pas-ghubar-e-hawas raat Dhalti rahti hai
nashe mein chur pighalti machalti rahti hai
KHabar yahi hai ki aaghosh-e-hijr mein pahron
tumhaari yaad bhi pahlu badalti rahti hai
ye main ne dekha hai akasr phaTi purani hayat
sar-e-daricha-e-shab hath malti rahti hai
qafas se hum bhi nikalne ko kab se hain be-tab
magar wo saat-e-aKHir jo Talti rahti hai
wo rang rang bahaaran hai khulta rahta hai
wo shaKH shaKH samar-war hai phalti rahti hai
hai ek kar-e-ziyan shahr shahr dar-badari
magar yahi ki tabiat bahalti rahti hai
(365) Peoples Rate This