Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla
na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla
ye rasta bhi usi narm-gam ka nikla
nae gulon ki sada-e-shaguft tez hui
hawa ke lams se rishta kalam ka nikla
musawwiri na sahi kaam aai be-hunari
koi bahana to un se salam ka nikla
talash-e-rizq mein nikle the mahr-e-subh liye
aqab se pahla sitara bhi sham ka nikla
yahan bhi dhup chali aai be-KHayali ki
ye saeban-e-tasawwur na kaam ka nikla
musahibon ki tarah har qadam pe KHar mile
mera safar to baDe ehtimam ka nikla
wahi shajar wahi patte wahi hawa wahi aag
kalam-e-nau bhi mera rang-e-am ka nikla
(376) Peoples Rate This