Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3df0cc65106e47da7ca89b38d52afd13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha

main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha

bichhaD gaya jo main us se qusur mera tha

jo panw aae the ghar tak mere wo us ke the

wo dil baDha tha jo us ke huzur mera tha

baDa ghurur tha donon ko ham-nawai par

nigah us ki thi lekin surur mera tha

wo aankh meri thi jo us ke samne nam thi

KHamosh wo tha ki yaum-e-nushur mera tha

kaha ye sab ne ki jo war the usi par the

magar ye kya ki badan chur chur mera tha

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha In English By Famous Poet Mazhar Imam. Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Main Jaanta Hun Wo Nazdik O Dur Mera Tha in PDF.