Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja
koi sune na sune arz-e-haal karta ja
na ruk jawab ki KHatir sawal karta ja
samundaron ko hawa mein uchhaal de ek bar
tu ba-hunar hai to ye bhi kamal karta ja
badal de hijr ki saat ko wasl lamhon mein
bana ke kaam ko aasan muhaal karta ja
tu be-misal agar hai to mujh mein zahir ho
mujhe bhi apni tarah be-misal karta ja
qarib aa ki ujalon ke haar pahna dun
mujhe asir-e-shab-e-la-zawal karta ja
shikast o fath nasibon se hai wale ai dil
mile hain zaKHm to KHud indimal karta ja
yahin kahin tera mazi bhi sans leta hai
guzarne wale bas itna KHayal karta ja
tera hunar teri danai bad-dua hai 'imam'
zawal tera muqaddar kamal karta ja
suKHan-nawaz mere nukta-chin mere naqid
mujhe shikar-e-itab-o-jalal karta ja
bahut se tir hain teri kaman mein qaid ab bhi
mere lahu se qaba apni lal karta ja
mere zawal pe kar sabt aaKHiri tahrir
ye kar-e-nek bhi ai la-zawal karta ja
(406) Peoples Rate This