Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae
kis samt ja raha hai zamana kaha na jae
ukta gae hain log fasana kaha na jae
apna makan ujaD ke sahraon ki taraf
wo shaKHs kyun hua hai rawana kaha na jae
lamhon ki tarah guzri hain sadiyan to bar-ha
ek pal bana hai kaise zamana kaha na jae
shoale bane hain lafz to kanTa hui zaban
ab kya karen jo tera fasana kaha na jae
hai aankh ufuq pe barf ki surat jami hui
shab hogi kab sahar ka nishana kaha na jae
kahne ko ye ghazal hai magar kya ghazal jise
nauha kaha na jae tarana kaha na jae
(387) Peoples Rate This