Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0a3dfaf28a415c35f6cbadf3ff910d9e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein

kai sarab mile tishnagi ke raste mein

rukawaTen hain bahut raushni ke raste mein

hamara aap ka sar phoDna muqaddar hai

sanam khaDe hain abhi aadmi ke raste mein

hai us ka sath to lab par yahi dua hai ki phir

na aae aur koi zindagi ke raste mein

wahan mila bhi to apna hi aashna sa ye

khaDe the der se hum raushni ke raste mein

nai hai fikr magar lafz to purane hain

qadamaten hain wahin tazgi ke raste mein

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein In English By Famous Poet Mazhar Imam. Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Kai Sarab Mile Tishnagi Ke Raste Mein in PDF.