Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha
jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha
kya log the andesha-e-farda bhi nahin tha
wo kaise musafir the ki be-zad-e-safar the
sine pe koi bar-e-tamanna bhi nahin tha
kyun log mazaron pe dua mang rahe the
mujh par kisi aaseb ka saya bhi nahin tha
kis bagh-e-tilismat mein gum ho gain aankhen
main ne teri jaanib abhi dekha bhi nahin tha
kyun taza hawa ka koi jhonka nahin aaya
ehsas ke dar par koi parda bhi nahin tha
nashsha dar-e-gandum ka hiran hone se pahle
jannat se nikalna hai ye socha bhi nahin tha
girti hui diwar ko sab dekh rahe the
is shahr mein kuchh aur tamasha bhi nahin tha
na-karda-gunahi ki saza de mujhe ya-rab
jo kaam kiya main ne wo achchha bhi nahin tha
(374) Peoples Rate This