Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e8e2bc9a200b481c09dc6075fbd91db3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki - Mazhar Imam Poetry In English - Darsaal

Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki

dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki

ye rut KHushi ki hai ya rit hai zamane ki

bana gain use pechida nit-nai sharhen

khuli hui thi haqiqat mere fasane ki

haram ke pas pahunchte hi thak ke baiTh gae

wagarna rah to li thi sharab-KHane ki

kisi ke saya-e-gesu ki baat chhiDti hai

mere qarib rahen gardishen zamane ki

main tere gham ka bhi thoDa sa jaeza le lun

kabhi mile mujhe fursat jo muskurane ki

sameT len mah o KHurshid raushni apni

salahiyat hai zamin mein bhi jagmagane ki

bhala 'imam' tahajjud guzar kya jaanen

ki raat kitni hasin hai sharab-KHane ki

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki In English By Famous Poet Mazhar Imam. Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Dil-e-hazin Ko Tamanna Hai Muskurane Ki in PDF.