Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana
ajib waqia tha us ko apne ghar lana
kabhi charagh uThana kabhi qamar lana
bayan-e-ijz mein alfaz-e-mo'atabar lana
baDa kamal duaon mein hai asar lana
bahut hai aaj tamanna uDan bharne ki
qafas se ja ke hamare shikasta par lana
thake hue hain sabhi paemal rahon par
kahin se DhunD ke phir taza rah-guzar lana
wo shoKH rang ka shaida hai ye KHayal rahe
qarib aana to KHud ko lahu mein tar lana
bas ek kaam hua hum se zindagi mein 'imam'
ayagh-e-umr sharab-e-ziyan se bhar lana
(389) Peoples Rate This