Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho
ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho
aql ka dawa-e-baaligh-nazari to dekho
sar paTakte hain ki diwar-e-KHumistan Dha den
hazrat-e-shaiKH ki aashufta-sari to dekho
aaj har zaKHm ke munh mein hai zaban-e-fariyaad
mere isa ki zara chaaragari to dekho
qaid-e-nazzara se jalwaon ko nikalne na diya
doston ki ye wasia-un-nazari to dekho
un se pahle hi chale aae janab-e-naseh
mere nalon ki zara zud-asari to dekho
hai taghaful ki tawajjoh nahin khulne pata
husn-e-masum ki bedad-gari to dekho
mujh se hi puchh raha hai meri manzil ka pata
mere rahbar ki zara rah-bari to dekho
un ko de aae hain KHud apni mohabbat ke KHutut
gham-gusaron ki zara nama-bari to dekho
donon hi rah mein Takraate chale jate hain
ishq aur aql ki ye ham-safri to dekho
jawedan qurb ke lamhat hue hain mazhar
tair-e-waqt ki be-baal-o-pari to dekho
(405) Peoples Rate This