Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5d19bfacbd1467a6096a7499bd6c4420, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai - Mazhar Abbas Poetry In English - Darsaal

Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai

tera chehra jo mere dil mein utar aaya hai

har bashar sang liye mujh ko nazar aaya hai

kitni maghrur thi ye raat abhi tak lekin

ek nanha sa diya le ke sahar aaya hai

jis ko pala tha mohabbat se hamesha main ne

aastinon mein wo chhup kar mere ghar aaya hai

bad-duaen to gharibon ki nahin hain tujh par

tu jo shohrat ki bulandi se utar aaya hai

manzil-e-ishq ko aasan samajhne walon

kitne sahraon se guzra hun to ghar aaya hai

ye chaman yun hi to sarsabz nahin hai 'mazhar'

hum ne sincha hai lahu se to samar aaya hai

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai In English By Famous Poet Mazhar Abbas. Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai is written by Mazhar Abbas. Read famous Poem Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai for youth and Student by Mazhar Abbas. Free Download Tera Chehra Jo Mere Dil Mein Utar Aaya Hai in PDF.