PaDa Hun Zer-e-qadam KHak-e-rahguzar Ban Kar
paDa hun zer-e-qadam KHak-e-rahguzar ban kar
jhuka hun main hama-tan us gali mein sar ban kar
nikal gaya meri aankhon se misl-e-KHwa-o-KHayal
guzar gaya dil-e-raushan se wo nazar ban kar
kitab o KHat hi ke dhoke mein rah gae aghyar
wo yar aap hi aaya payam-bar ban kar
kisi ki tegh-e-nigah ne miTa diye dhabbe
hamare dagh-e-jigar kaT gae sipar ban kar
'mazaq' saqi-e-kausar mujhe sambhaalenge
nashe mein bigDi tabiat meri agar ban kar
(338) Peoples Rate This