Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b3c70248f271a01243697ddbd48b9c6d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui - Mazaq Badayuni Poetry In English - Darsaal

Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui

mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui

hoti bahut bari hai muqarrar lagi hui

is shola-ru ko lag hai har dil se kya bujhe

hai sab gharon mein aag barabar lagi hui

dil ki KHabar jo aati hai har dam zaban par

rahti hai dam ki Dak barabar lagi hui

soz-e-darun ne phunk diya jism o jaan o dil

ek aag hai kaleja ke andar lagi hui

bhule hain zauq-e-mai se 'mazaq' apni jaan to kya

dil se hai yaad-e-saqi-e-kausar lagi hui

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui In English By Famous Poet Mazaq Badayuni . Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui is written by Mazaq Badayuni . Read famous Poem Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui for youth and Student by Mazaq Badayuni . Free Download Mar Kar Bhi ChhuTti Nahin Akasr Lagi Hui in PDF.