Zaban Ka Qarz Utarne Nahin Diya Maine

zaban ka qarz utarne nahin diya main ne

har ek zaKHm ko nasur kar liya main ne

ye soch kar ki koi aasman manzil hai

junun mein apna nasheman jala diya main ne

wo jis ki shakl bhi aankhon ko nagawar hui

usi ke tanz ko dil mein basa liya main ne

hasad ki ek tawaif suhai aankhon ko

wafa se is liye daman chhuDa liya main ne

badan ke peD the aankhon ki kashtiyan thin jahan

wahan pe ek bhi lamha nahin jiya main ne

kahin dilon mein andhere the raston mein kahin

safar tamam siyahi mein tai kiya main ne

(539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Ka Qarz Utarne Nahin Diya Maine In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Zaban Ka Qarz Utarne Nahin Diya Maine is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Zaban Ka Qarz Utarne Nahin Diya Maine for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Zaban Ka Qarz Utarne Nahin Diya Maine in PDF.