Taron Se Aur Baat Mein Kamtar Nahin Hun Main
taron se aur baat mein kamtar nahin hun main
jugnu hun is liye bhi falak par nahin hun main
sadmon ki barishen mujhe kuchh to ghulaenge
putla hun KHak ka koi patthar nahin hun main
dariya-e-gham mein barf ke tude ki shakl mein
muddat se apne qad ke barabar nahin hun main
us ka KHayal us ki zaban us ke tazkire
us ke qafas se aaj bhi bahar nahin hun main
main tishnagi ke shahr pe TukDa hun abr ka
koi gila nahin ki samundar nahin hun main
kyun zahr zindagi ne pilaya mujhe 'mayank'
wo bhi to jaanti thi ki shankar nahin hun main
(476) Peoples Rate This