Sitara Ek Bhi Baqi Bacha Kya
sitara ek bhi baqi bacha kya
nigoDi dhup kha jati hai kya kya
falak kangal hai ab puchh lije
sahar ne munh dikhai mein liya kya
sab ek bahre fana ke bulbule hain
kisi ki ibtida kya intiha kya
jazire sar uTha kar hans rahe hain
zara socho samundar kar saka kya
KHirad ek nur mein zam ho rahi hai
jharoka aagahi ka khul gaya kya
bahut sharmaoge ye jaan kar tum
tumhaare sath KHwabon mein kiya kya
use KHud-kush nahin majbur kahiye
badal deta wo dil ka faisla kya
barahna tha main ek shishe ke ghar mein
mera kirdar koi kholta kya
ajal ka KHauf tari hai azal se
kisi ne ek lamha bhi jiya kya
makin ho kar muhajir ban rahe ho
miyan yak-laKHt bheja phir gaya kya
KHuda bhi dekhta hai dhyan rakhna
KHuda ke nam par tum ne kiya kya
uTha kar sar bahut ab bolta hun
mera kirdar bauna ho gaya kya
(447) Peoples Rate This