Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_484c990dff91ed9eac5bbb5083ea5754, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai - Mayank Awasthi Poetry In English - Darsaal

Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai

sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai

sochiye us aaine se kyun koi naraaz hai

be-sabab sayon ko apne lambe qad pe naz hai

KHak mein mil jaenge ye sham ka aaghaz hai

yun hawa lahron pe kuchh tahrir karti hai magar

jhum kar bahta hai dariya ka yahi andaz hai

dekh kar shahin ko pinjre mein patinga kuchh kahe

jaanta wo bhi hai kis mein quwwat-e-parwaz hai

kyun mughanni ke liye bechain hai tu is qadar

ai dil-e-nadan ki tu to ek shikasta saz hai

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Sadgi Pahchan Jis Ki KHamushi Aawaz Hai in PDF.