Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke
qaid-e-shab-e-hayat badan mein guzar ke
uD jaunga main subh aziyyat utar ke
ek dhup zindagi ko yun sahra bana gai
aae na is ujaD mein mausam bahaar ke
ye be-gunah shama jalegi tamam raat
is ke labon se chhu gae the lab sharar ke
silan ko rah mil gai dimak ko sair-gah
anjam dekh lijiye ghar ki darar ke
sajti nahin hai tum pe ye tahzib-e-maghribi
ek to phaTe libas hain wo bhi udhaar ke
baadal nahin huzur ye aandhi hai aag ki
aankhon se dekhiye zara chashma utar ke
jab hathkaDi ko toD ke kafir hua farar
rote rahe asir KHuda ko pukar ke
(458) Peoples Rate This