Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2b6576519dded264270ae55b74863d75, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se - Mayank Awasthi Poetry In English - Darsaal

Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se

khulti hi nahin aankh ujalon ke bharam se

shab-rang hua jaun main suraj ke karam se

tarkib yahi hai use phulon se Dhaka jae

chehre ko bachana bhi hai patthar ke sanam se

ek jhil sarikhi hai ghazal dasht-e-adab mein

jo dur thi jo dur rahi dur hai hum se

aaKHir ye khula wo sabhi tajir the guhar ke

jin ke bhi marasim the mere dida-e-nam se

kyun kar wo kisi mil ke patthar pe Thahar jae

kyun rind ki nisbat ho tere dair-o-haram se

ye mere taKHallus ka asar mujh pe hua hai

ab yaad nahin apna mujhe nam qasam se

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Khulti Hi Nahin Aankh Ujalon Ke Bharam Se in PDF.