Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_49a0b2de3898bdb1f3f14b0bc6233e13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah - Mayank Awasthi Poetry In English - Darsaal

Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah

jab KHud mein kuchh mila na KHad-o-KHal ki tarah

kuchh aaine mein DhunDh liya baal ki tarah

soi hui hai subh ki talwar jab talak

ye shab hai jugnuon ke liye Dhaal ki tarah

kuchh raushni ke dagh ujale ka ek zaKHm

kuchh to hai shab ke dil mein zar-o-mal ki tarah

tahrir kar rahi hai meri past tishnagi

jhilon ko paniyon ke bichhe jal ki tarah

nagin hai koi bel shajar ba-KHabar nahin

kenchul chaDhi ho tan pe agar chhaal ki tarah

phir bhi tamam dagh chhupae na chhup sake

go chandni badan pe rahi shaal ki tarah

bas aaine se ek mulaqat ke sabab

lamhat ho gae hain mah-o-sal ki tarah

tum jhuk gae 'mayank' zamane ke samne

phulon se aur phalon se ladi Dal ki tarah

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Jab KHud Mein Kuchh Mila Na KHad-o-Khaal Ki Tarah in PDF.