Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha
ek chand tirgi mein samar raushni ka tha
phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha
suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar
binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha
sab chandni kisi ki inayat thi chand par
us daghdar show pe kawar raushni ka tha
maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya
is ghar mein koi laKHt-e-jigar raushni ka tha
dariya mein us ne Dub ke kar li hai KHud-kushi
jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha
zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur
dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha
(429) Peoples Rate This