Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak
bikhar jae na meri dastan tahrir hone tak
ye aankhen bujh na jae KHwab ki tabir hone tak
chalae ja abhi tesha qalam ka koh-e-zulmat par
siyahi waqt bhi leti hai ju-e-shir hone tak
isi KHatir mere ashaar ab tak Diary mein hain
kisi aalam mein ji lenge ye aalamgir hone tak
tere aaghaz se pahle yahan jugnu chamakte the
ye basti muflison ki thi teri jagir hone tak
mujhe tanz-o-malamat ki baDi darkar hai yun bhi
ana ko shan bhi to chahiye shamshir hone tak
mohabbat aaKHirash le aai hai ek band kamre mein
teri taswir ab dekhunga KHud taswir hone tak
(453) Peoples Rate This