Agar Hawaon Ke RuKH Mehrban Nahin Hote
agar hawaon ke ruKH mehrban nahin hote
to bujhti aag ke tewar jawan nahin hote
dilon pe barf jami hai labon pe sahra hai
kahin KHulus ke jharne rawan nahin hote
hum is zamin ko ashkon se sabz karte hain
ye wo chaman hai jahan baghban nahin hote
kahan nahin hain hamare bhi KHair-KHwah magar
jahan guhaar lagao wahan nahin hote
idhar to aankh barasti hai dil dhaDakta hai
ye sanehat tumhaare yahan nahin hote
wafa ka zikr chalaya to hans ke bole wo
fuzul kaam hamare yahan nahin hote
(418) Peoples Rate This