Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae
duniya mein hum jo apni haqiqat ko pa gae
to zindagi ke raaz samajh mein sab aa gae
ye sochte hain sirf yahi sochte hain ab
hum tere dar pe lae gae hain ki aa gae
kaliyon ko khul ke hansne ka andaz aa gaya
gulshan mein aa ke tum jo zara muskura gae
apna maqam bhi mutayyan na kar sake
wo kya kahenge dahr mein kya aae kya gae
zeba tha un ko dawa-e-tamir-e-gulsitan
jo bijliyon mein rah ke nasheman bana gae
ek hum hain rah DhunD rahe hain idhar udhar
ek wo hain KHush-nasib jo manzil ko pa gae
rah-e-wafa mein aae hain wo marhale jahan
'mail' baDe-baDon ke qadam Dagmaga gae
(451) Peoples Rate This