Na Tirgi Ke Liye Hain Na Raushni Ke Liye
na tirgi ke liye hain na raushni ke liye
shab-o-sahar ke taqaze hain bandagi ke liye
hamara KHun bhi hazir hai ai KHirad-mando
tumhaare daur ki be-kaif zindagi ke liye
sawad-e-sham to hai aam bazm-e-fitrat mein
magar tulu-e-sahar hai kisi kisi ke liye
rah-e-talab mein andheron ko kosne walo
kisi ne dil bhi jalaya hai raushni ke liye
kuchh aaine bhi teri anjuman mein TuTe hain
tere labon ke tabassum teri KHushi ke liye
faqih-e-shahr se mera salam kah dena
ki zindagi bhi ibaadat hai zindagi ke liye
rida-e-bint-e-inab ban gai bisat-e-nujub
ye ehtimam hai 'raje' kis aadmi ke liye
(456) Peoples Rate This