Nazron Ka Mohabbat Bhara Paigham Bahut Hai
nazron ka mohabbat bhara paigham bahut hai
majbur-e-wafa ke liye inam bahut hai
kuchh baada-o-saghar ki zarurat nahin mujh ko
aankhon se chhalakti mai-e-gulfam bahut hai
kya haal ho kya jaane shab-e-gham ki sahar ka
betabi-e-dil aaj sar-e-sham bahut hai
tauhin-e-mohabbat hain mohabbat mein ye shikwe
lagta hai abhi husn-e-talab-KHam bahut hai
be-wajh mujhe bewafa kahte to ho lekin
tum par bhi isi qism ka ilzam bahut hai
nadan rah-e-ishq ko aasan na samjhen
is rah mein kaThinai ba-har-gam bahut hai
is shauq adaon ko koi kuchh nahin kahta
charcha meri ulfat ka sar-e-am bahut hai
kuchh aa hi gaya dost ka dushman ka saliqa
ehsan tera gardish-e-ayyam bahut hai
afkar-e-zamana kabhi afkar-e-mohabbat
hai zindagi thoDi si magar kaam bahut hai
ai 'mauj' sukun-baKHsh hain amwaj-e-mohabbat
aaghosh mein tufan ke bhi aaram bahut hai
(450) Peoples Rate This