Naqsh Daur-e-mazi Ke Zehn Mein Ubharte Hain
naqsh daur-e-mazi ke zehn mein ubharte hain
bhuli-bisri rahon se jab kabhi guzarte hain
ang ang hansta hai zawiye nikharte hain
jab wo muskuraate hain jab wo baat karte hain
hum unhin pe jaan-o-dil bhi nisar karte hain
apna haal-e-dil jin se arz karte Darte hain
is qadar na hota zan aarzi bulandi par
uDne wale tair ke baal-o-par katarte hain
nashsha-e-jawani mein uDte hain hawaon par
aasman se niche kab wo panw dharte hain
mehr-o-mah ki gardish mein DhunDhte hain qismat ko
apni apni karti par kam nigah karte hain
jaur-o-jabr ka un ka silsila nahin TuTa
go wafaon ke hum ne sab usul barte hain
kuchh sukun deti hain badliyan umidon ki
yas-o-huzn ke tufan sar se jab guzarte hain
'mauj' bahr-e-ulfat mein lazmi hain ghawwasi
gharq hone wale hi par bhi utarte hain
(387) Peoples Rate This